Also read Shades of emotions – one (1), two (2) and three (3)
******************************************************
I
Kisi jheel ke thehrav se puchho
Rituon ki khushnaseebi kya cheez hai
II
Dor aisi na baandh koi
Ki paaki mai tera ho jaaun
Rahun na apne watan ka mai
Aur na tere desh ka hi ho paun
III
Socha le aaun baaraat chaand taaron ki
Par kambakht ye bhi mujhse ruswa hain
Kehte hain rijha uss chaandni ko pehle
Jise dekh dil tera aanhein bharta hai
IV
Kabhi itne door hoke bhi kitne paas lagte ho..
Kabhi paas hoke bhi bahut door lagte ho..
Kahan chhupaun in ashkon ko ab..
Kaise bayan karun kitne khaas lagte ho..!!
******************************************************